Saturday, April 21, 2007

Duaa

aankhon se taane dete hain
aur kabhi lab se dua karte hain

aisa bhi nahin ke afsos hai
bade be-adab se dua karte hain

jin-jinko marte chod diya
mare un sab se dua karte hain

udhar lekar na utaarne ki
kyun bematlab se dua karte hain

khud to raham baanta hi nahin
ab jaake rab se dua karte hain

kal ham-umr koi mar sa gaya
sahme yeh tab se dua karte hain

1 comment:

  1. Anonymous10:59 PM

    duaa se bhi shikaayat agar tum ko hai
    use bhi ham dafn kar denge....

    kisi aur jahaan me agar mulaakaat hogi
    sab hisaab chukta kar denge....

    ReplyDelete