Tuesday, April 28, 2009

Be-ikhtiyaar

tu har shab kartab karta gaya
besabr-o-besabab sab bharta gaya

mere lab to rab rab karte rahe
par betalab har matlab marta gaya

chaunk-ke ulajh gayi ab raahein meri
yahin kahin kabhi mera ghar tha. gaya!

mujhe khush rakhna hai kasoor tera
muaaf karne ko main ab marta gaya

jis jaanib jaaoon jahaan me tu
tujhe sochoon dil jab jab karta gaya

ikhtiyaar aur ishq to raqeeb se hain
bekhabar main kya kab karta gaya

tere kandhein pe khwahishein likhni thi
pichla pahar ik mauka agar tha, gaya!

2 comments:

  1. tumhari ye lekhan mein padta gayaa
    uss samundar mein doobta gaya

    rab shabab ab sab padta gaya
    aise aise bas ulajhta gaya..

    chaunk-ke ulajh gayi ab nigahen meri :D

    ReplyDelete