Thursday, March 06, 2008

Raashan

uski zindagi raashan ki dukaan hai

main har din
ek lambe kataar me khade khade
guzaarti hoon
taaki mujhe bhi uski zindagi ke kuch lamhe
mil jaaye

har roz mujhe gin-ginke
woh do chaar muskaan deta hai
jinhe main seene me bachake rakhti hoon;
har raat tol tolke ek-aadh sapna!


kabhi kabhi saara din
kheechataani me utar jaata hai
aur main saari raat uske dar pe baithi
sooni hatheliyon me neendein senkti rahti hoon
intezaar me;
aur jab meri baari aati hai to pata chalta hai -
stock
khatm ho gaya

aaj bhi main uske dar se
khaali haath lauti hoon
bas kuch jale se khaab bache hain,
jo aankhon me dhuaan udaa rahe hain

haan pata hai-
uski zindagi raashan ki dukaan hai
yeh bhi pata hai-
aaj ke saare lamhe black me bik gaye

par suna hai
uske shaam ke kuch tukde aapke paas hain

kya aaj ke liye mujhe aapse aadhi katori yaadein
udhaar mil sakti hain, please?!