Wednesday, December 31, 2008

laut aao

shab ka saahil baandhke pairon pe
ab to apne yaahaan tum laut aao
phir jhat se din ho jaayega
phir tum pe dil aa jaayega

kabhi jashn me muskaan bharne chale
kabhi dasht ke mehmaan ban-ne chale
kabhi sahre ke saundhe andheron ko
'sal' ki aag me gumraah karne chale

yahaan kohra chala to senk lage
kabhi aah jage kabhi aankh lage
khaali se pade hai khaab kai
yeh neend bhi veeraan baithi hai

teri deewaron pe tange lab ab
chedte hai bedaar si raaton me
jab baithi yahaan main kamre me
hawaon pe tumhe sandese likhti hoon

ab bahut hua tum zidd na karo
ab apne yahaan tum lau aao
shab ka saahil baandhke pairon me
ab apne yahaan tum laut aao

aate aate wahin berahami le aana
jo betaab kare mujhe shaam-o-sehar
sadak pe baithi dhundh bujhaa denge
phalak ke taaron se garmi le aana

phir jhat se din ho jaayega
phir tum pe dil aa jaayega
ab apne yahaan tum laut aao
bas laut aao abhii laut aao
-----------------------------------------
the last one this year... :D

Sunday, December 21, 2008

ae khud ke deewane

mehfil me tauba karte ho
chup chupke sauda karte ho
jaate ho, jaan le jaate ho
aur tanha lauta karte ho

jaan baqsh de, jee vaar doon
jee kaat-ke sau baar doon

ae khud ke deewane

Thursday, December 04, 2008

bezaar

din bhar kore lamhon ko bharne ke liye
alfaaz chidakne ki koshish karti rahi
to dekha ki zahan itni rookhi hai
ki lavz nikalte nikalte seene me shikan ban jaate hain
aur maayne- bas laapata

ab sochti hoon
lamhon ko khaali hi chod deti hoon
kya karoon
aaj kal zindagi me kuch hota bhi to nahin...