phoonk-ke bujha chali, abr surkh-o-zard se
pharsh pe chodke kahkashaan gard ke
bezubaan raat ye,
badgumaan raat ye
jaa rahi hai;
jaane do!
------
dareechon se jhaankti
zakhmi khamoshiyaan jaanchti
har dar se lagaake kaan
goonjti aahen sunke kaanpti
aadatn tatol-ke,
har makaan, raat ye
jaa rahi hai;
jaane do!
-------
isi shahar me the aashiyaan
khamosh se, syaah se
moondi aankhon pe jahaan
milte the khaabgaah se
kab se hai talaashti,
wo aashiyaan, raat ye
jaa rahi hai;
jaane do!
--------
aahaton me uljhe log, bejaan, sard se
jeb me liye nishaan gumshuda dard ke
ise batao, bas ab yahaan
sukoon ke mazhaar hai
rakh-ke girvi neenden apni
har shaqs bezaar hai
kya karegi, rahke bhi
ab yahaan raat ye?!
jaa rahi hai;
jaane do!
---------