aapne suna hai?!
aaj kal mausam kaafi sakht ho gaye hai
hamne to notice hi nahin kiya
ham itne masroof jo rahte hain, na!
apne sheeshe ki gufaaon me
eent ke bakson me
hawaai jahaazon me
bas kabhi kabaar akhbaar me dikh jaata hai -
garmiyon me temperature paintalees degrees tha,
pathjhad me do degrees.
aur kahin yeh bhi padha tha-
is baar barsaat ke mausam me
kahin par kuch do hazaar ghar bah gaye
tch tch!
hamne to gaur hi nahin kiya
yeh bhi pata nahin chala
ke seene me bhi
aaj kal mausam kuch sakht ho gaye hain
seene me patjhad sa rahta hai
na jaane kabse
jazbaat jam se gaye hain
khwahishen sikudne lage hain, jhadne lage hain
rishte hai ke rookhe se pade rahte hain
kisiko awaaz kya de?!
kuch shor-o-gul zyaada hai har kahin
haan, suna hai
aaj kal mausam kaafi sakht ho gaye hain
khuda ka shukr hai ke har jagah AC rahti hai
main to apne zindagi ka temperature
baaiis pe maintain karti hoon
aur aap?!
aaj kal mausam kaafi sakht ho gaye hai
hamne to notice hi nahin kiya
ham itne masroof jo rahte hain, na!
apne sheeshe ki gufaaon me
eent ke bakson me
hawaai jahaazon me
bas kabhi kabaar akhbaar me dikh jaata hai -
garmiyon me temperature paintalees degrees tha,
pathjhad me do degrees.
aur kahin yeh bhi padha tha-
is baar barsaat ke mausam me
kahin par kuch do hazaar ghar bah gaye
tch tch!
hamne to gaur hi nahin kiya
yeh bhi pata nahin chala
ke seene me bhi
aaj kal mausam kuch sakht ho gaye hain
seene me patjhad sa rahta hai
na jaane kabse
jazbaat jam se gaye hain
khwahishen sikudne lage hain, jhadne lage hain
rishte hai ke rookhe se pade rahte hain
kisiko awaaz kya de?!
kuch shor-o-gul zyaada hai har kahin
haan, suna hai
aaj kal mausam kaafi sakht ho gaye hain
khuda ka shukr hai ke har jagah AC rahti hai
main to apne zindagi ka temperature
baaiis pe maintain karti hoon
aur aap?!