zarra zarra ab zaar zaar ho gaya
zara zara si baaton se pyar ho gaya
khamosh lamhon me basi naazuk si zindagi
bas ek baat uthi, aur daraar ho gaya
jo khwaabeedah khwahish jaga gaya tha tu
besukoon kar gaya, main bedaar ho gaya
badgumaan mausam sawaal karte gaye
main bas bezubaan sa beqaraar ho gaya
hazaaron kism ke sannate hain labon pe mere
har lamha khamoshiyon ka dayaar ho gaya
mere dar pe tu aata kabhi to dekhta
muskaanon ka gharonda ab mazhaar ho gaya
besabab jode the tumne tukde chehre par
aur main betalab be-ekhtiyaar ho gaya
bevajah guftagu me shab-o-roz utarte the
ab har shab meri aahon me bezaar ho gaya
faasle ugne me yahaan waqt lagta hai kahaan
ek pal me har darwaaza deewaar ho gaya
cheente kuch raat ke aankhon me rah gaye
dekhkar inhe subah sharm-o-saar ho gaya
hosh ke tukde dhoodhte umr guzri
ab aake khumaar ka shumaar ho gaya
sansani kar gayi, ansuni mar gayi
aaj haqeeqat ka deedar ho gaya?
kitni mayoos hai tu, kitni manhoos hai
zindagi, tumhi se ishq baar baar ho gaya
----------------------------------------------
A Sequel to Guftagu! Return to silence...! :)
Freedom is an awesome feeling!!
But like Phoolan asked me the other time, do I really want to be free?! :D