zarra zarra ab zaar zaar ho gaya
zara zara si baaton se pyaar ho gaya
baaton me pahren palatna, kasoor hai tera
tere sang main bhi gunahgaar ho gaya
besabab guftagu se gila karta hai dil
isi me har lamha jo giraftaar ho gaya
aakar, saari umr rakh di hai ulatke
nasha utar gaya aur khumaar ho gaya
naakaam sa mafahoom talaashta hoon main
ab to har maayna bekaar ho gaya
parda gira diya to shuruuaat hui
daastaan aakhir me aebdaar ho gaya
jab buni thi zindagi tab to tu nahin tha
ab achanak kaise ek khirdaar ho gaya?
mareez nazar aata tha par khud marz hai
main bas bekhabar sa beemaar ho gaya
ekhtiyaar me the arzoo, to magroor tha
tum mile, to guroor gubaar ho gaya
din bhar khwahishon se bach-bachke chala
raat hui! shikaastaa, shikaar ho gaya
aaj phir naye tukde jud gaye chehron par
aaj phir soonaapan faraar ho gaya
aadatn sannaate jeete the lab par
ab begharaz lavzon ka dayaar ho gaya
kal maine chedi thi to bas baat thi
tumne chhua to yeh ashaar ho gaya
-----------------------------------------
Dedicated to HippO
No comments:
Post a Comment