teraa cheharaa jaise anjuman armaanon ki
tu palke uthaaye to har parda utar jaaye
masroof si rahti hai khud hi se baaton me
muskaan ugaati hai tu jaise jidhar jaaye
maaynon me bandhi baaton se bezaar sawaal kare
yeh kaisa junoon hai tera jisme shaam-o-sehar jaaye
raqeeb ho ya ho sanam, zakhmi hai sukoon tujhse
phir kyun na koi tujhpar ab mukadama kar jaaye
kiston me bharti hai tu ishq nigaahon me
aankhein jo band kare, qaaynaat thahar jaaye
bejaan se lab mere, pal me, khil jaate hai
nooraani yaad teri bas chooke agar jaaye
manzil ki fiqar hai kise? raahon pe pair tere -
pade to raunaq hai, jaise bhi safar jaaye
raqs karna yun shab bhar, rasm apni puraani hai
aasmaan ab surkh hua; chalo ab to ghar jaaye? :P
jo bhi ho phir kal hoga. phir zinda ho jaayenge
chalo aaj ki dasht pe ham baras-ke mar jaaye?
hawaa pe ghazal likh-kar, tere dar pe chodi hai
padh lena ghazal meri, tu chat pe agar jaaye
----------------------------------------------
To Damini, the orange girl! :)
2 comments:
Hello. This post is likeable, and your blog is very interesting, congratulations :-). I will add in my blogroll =). If possible gives a last there on my blog, it is about the TV de LCD, I hope you enjoy. The address is http://tv-lcd.blogspot.com. A hug.
allo...post is likable alright :P
I see you r back in your elements.
Let the sun come in!
Post a Comment