is jahaan ke aashiq bante gaye; har zubaan ke aashiq bante gaye
hai kasoor sahin betaab se har daastaan ke aashiq bante gaye
naqshon raston se oobke hamne jaise hi parwaaz chuna
hawa ko pahanke zameen se ude, aasmaan ke aashiq bante gaye
hamse pehle hi aa pahunche, hamare baad bhi chalte rahenge yunhi
be-ibtedaa be-intehaa har armaan ke aahiq bante gaye
har safhe par phir se wahin puraane kuch alfaaz likhe
zindagi phir bhi ham tere andaaz-e-bayaan ke aashiq bante gaye
aisa bhi nahin khushfaham hai ham, tu fikr na kar dil-e-badgumaan
us shaks ki har ik nuks ko ham pehchaanke aashiq bante gaye
hai ishq se shukr mijaaj yahaan, hai ishq se ruswaa naam yahaan
phir bhi mehfil ko sajaake har mehmaan ke aashiq bante gaye
2 comments:
Truly Amazin... keep up d gud work dear...!!
Post a Comment