Pagli
The harmless flirtation - The Beginning
qaatilaana si tajveez hai kabhi, jee kare to khud hi taaweez hai
girte sambhalte, samajhke ye chalna- mera ishq kya cheez hai
tujhi se churaake jaan,chupte chupaate, tujhi ko parosa kare
kos le aur dua de, tujhi ko de dhokha,tujhi pe bharosa kare
bas aana tha jaana tha
par kyun ruk gaya
bolo bolo jaldi bolo
tera kya bahaana tha
teri kya kahaani thi
--------------------------------
Nigli
The hopeless illusion - The Saga
fursat thi furqat thi, qurbat ki hasrat kii, do pal faasle bhi gaye
lamhein mangaaye jo,der aaye bahut, aur aake chale bhi gaye
kahin raat tooti, silwat bani aasmaan pe, magar fiqr kare bhi to kyun
jannat me the, jeene marne ki baaton ka koi zikr kare bhi to kyun
ek pal bhi aashiyaana tha
yun dil rakh chala
bolo bolo jaldi bolo
tera kya bahaana tha
teri kya kahaani thi
--------------------------------------
Agli
The ruthless enlightenment - The Aftermath
meri raat nikli sarakhti sarakhti jaake tere shab se mili
koi baat pichli bhooli si bhoole se haule mere lab se giri
yaadon ki bori, kholi chori chori, khoja jo mila hi nahin
soorat jo badli hai, seerat bhi badli, ab tumse gila bhi nahin
bhool gayi kya bataana tha
tu kyun chup khada
bolo bolo jaldi bolo
tera kya bahaana hai
teri kya kahaani hai
---------------------------------------------
ek din ka hi thikaana tha
phir darwaaza dikhaana tha
tumhe bas aana tha jaana tha
kisne bola ke bajna bajaana tha
aur tum kya kya kar gaye, babu
bolo bolo jaldi bolo
tera kya bahaana tha
teri kya kahaani thi
:D :D :D
yes yes, slight insanity is happening off!!
No comments:
Post a Comment