maine kabhi
ik nazm ka haath
saunp diya tha
kisi musaafir khayaal ke haathon me
woh musaafir to
nazm ko mere yahaan chodke
ab kuch laapata sa ho gaya
aur woh nazm ab bhi
mere dil me baithi hai
kabhi kabhi jee karta hai
main is nazm ko
kisi aur khayaal ke sang
byaah doon
par main kisiki dulhan ko
kisi aur ke saath
bhej bhi doon
to kaise?
is uljhan me
main us gumshuda khayaal ke lautne ka
intezaar karta hoon
shab-o-roz
aaj subah bhi
main phir yun hi
us khayaal ko khojne nikal hi raha tha
ke mere dil me baithi nazm ne kaha -
"abe o nikamme shaayar,
bahut hua!
apne tahriir ka joda pahnaake
mujhe kisi na kisi khayaal ke saath
ab to kisi kaagaz me bithake
bidaa kar de
kise pata
woh mera shauhar khayaal
kabhi lautega bhi ke nahin
nautanki band kar
aur jaldi mere liye
dooja dulha khayaal dhoondh!
kyun 'drama' kar raha hai?
apne liye to
kabhi 'monogamy' me
'believe' hi nahin kiya!
bas mere paas aakar
'moral science' shuroo?"
1 comment:
Wah Wah dost kya likhte ho bahoot accha keep it up
Post a Comment