Tuesday, August 31, 2010

208. Aa gaya

dil mera nayi tajveez koi aazamaane aa gaya

kooche me mere phir koi sukoon ganwaane aa gaya


dekhne mujhko deewana, aata hai dar pe har pahar

mahak utha mehfil hai - dekho, phir muskuraane aa gaya?


maasoom in dilchaspiyon ka bas main nahin kaayal yahaan

main kam-z-kam dhoondhoon sabab, wo bin bahaane aa gaya


ham-nasl nahin wo, lafz-o-lahje uske kuch judaa se hai

phir mujhe mehfil me apni zubaan banaane aa gaya


khwahishon ke kaafile khatm ho bhi to kaise, bata

ek armaan bujha nahin aur ek lubhaane aa gaya


wo gaya tha dareecho pe pehnaake peela aasmaan

din dhala to mujhme phir thodi shab bitaane aa gaya


khwaabeeda lamhon me guftagu ka lagta hai shaukeen bada

rah rahke neendon me naye naqshe bichaane aa gaya


kaash waaqif hota aashiq, muhabbat waqfe leti nahin

daayron me yaaden bhar bharke faasle bujhaane aa gaya


jab dekhta hai woh mujhe, uth-ta hai khaabon sa dhuaan

phoonk phoonk-ke wo apne naqsh-e-nigaah mitaane aa gaya


pyaas pala hoga bahut paimaanon ki talaash me

mere labon par, dilbar, apna munh jalaane aa gaya

--------------------------------------------------------------------

guzarte mausam ko karna nahin tha aahon me gumraah yun

apne mausam ke bichde hisse, aasmaan uthaane aa gaya

1 comment:

दीपशिखा वर्मा / DEEPSHIKHA VERMA said...

dekhne mujhko deewana, aata hai dar pe har pahar .. THIS LINE SUITS ME ..AS I VISIT DAR OF YOUR BLOG ...HAR PAHAR :)