Saturday, December 06, 2014

243. Yaadein

ik ajeeb rasm
musalsal hai
na jaane kabse

log
zindagi ko
jeete kam hain
aur yaadon me qaid karte
zyada hain

main bhi
har manzar
har lamha
har dayaar
har tajurba
qaid karne ki koshish
me gum rahta hoon
hamesha

magar kyun

ye bhi to nahin
ke ye koshish
apne liye karta hoon

ke main in lamhon se
phir guzar sakoon

zindagi hai hi itni choti
ke unhi tajurbo ko
duhraane ka mauka
milta hi nahin

ye bhi to nahin
ke ye koshish
doosron ke liye karta hoon

ke main in lamhon ki
numaaish kar sakoon
is duniya ke liye

sabhi apne apne tajurbo me
yun masroof hain
ke unhe mere qaid lamhon me
na to dilchaspi hai
na inke liye fursat

to is qaid khoobsoorat safar ka
main karoon bhi to kya

abhi ke liye to
main inhe apne
tees saal puraane
yaadon ke album
me rakh deta hoon
jaise karta aaya hoon

dheere dheere
ye tasveere
zindagi ki dhoop me
pheeki hone lagengi

dhool jamne lagegi
in kahaaniyon pe

aur
kisi din yun hi
in yaadon ki bhi maut ho jaayegi
chup-chaap

aur ham bekhabar se
naye lamhe
qaid karne ki koshish me
chalte rahenge
aadatn
bematlab
bemaqsad

shayad jeena
isi ka naam hai

No comments: