yeh kaisi
zubaan hai apni?
zubaan hai apni?
guftagu karte karte
zindagi ke maayne
bujhne lage hain
jaise udaas hain jazbaat
lafzon me utarke
jaise unhe bejism gumnaam hi rahna tha
jaise unhe bejism gumnaam hi rahna tha
jaise dard sharminda hai
awaazein pahanke
jaise unhe belibaas khamosh jeena tha
yaad hai
hamne
ghar basaya tha apna
kisi goonge-bahre pal me
chalo
kuch der
dekhte hain
chup baith-ke
kya pata
shayad ghar laut aaye phir apne
kya pata
shayad zinda ho jaaye
ham
ham
phir se
No comments:
Post a Comment