Monday, March 23, 2015

254. Jhoomar

dard jo beraham hain
ye dard to bas vaham hain
kahte hain log
kahte hain log

dard me toote ham hain
to ham hi hain jo besharam hain
kahte hain log
kahte hain log

peene do
peene do
haan

peene do
peene do
haan

hosh zaalim hai
peene do
jab tak hosh na ganwaa baithe

saanson ko
ginte hain
ham

saanson se
sunte hain
ham

karz baaqi hai
jaane do
kab tak jhakde, apni jaan, baithe

haan
peene do
jab tak
jahaan na dhundhuli ho
ashqon me yun ghuli ho

haan
peene do
jab tak
aankhein na adhkhuli ho
behisi na mili ho

haan
peene do
parde chadhe dard pe
duniya bujh jaaye

(behosh benaam hain
apne aashiyaan shaam hain;
subah aankhein kholenge jab,
hona phir badnaam hai)

Wednesday, March 11, 2015

255. Homeless


i just reached our place

and i realize
i will not feel at home
tonight
for home is where you are

and
no place,
no idea,
no event -
feels comforting
when you ain't around

so come home
to me
& bring my home
with you

because
without you
i am
cold
uncomfortable

i am
homeless

---

an ode to my globe-trotting husband

Tuesday, March 03, 2015

254. Aabshaar VIII

Going back to/taking off from - Aabshaar VII - where I used to periodically say random things that came to my mind without prejudice, or insistence on sense

1. Oh god, I cannot believe how long it has been since we talked

rah-rahke khudaa khudaa na kar
phir mujhko khud se judaa na kar
gam-e-furqat naamanzoor hai 'gar
kabhi phir tu mujhe alvidaa na kar

2. Unexpected knock on a 'chat window'

 Hello
:)

ye kaif-asar muskaan teri, jaan-e-jannat
bata - kaiku rare hai, mumbai sardi ke maafik

-----

Let's call this the phoolan post - for being an inspiration, unknowingly most of the times!

Aur hai yun hi
jaise kaha tha tumne
zindagi meherbaan hai mujhpe
most of the times

And so it is
like you said it would be
life goes easy on me...
 

253. Gunjaaish


inhe hai muhabbat sawaalon se
thahar - abhi inhe jawaab na de

saude taariqi ke baaqi hi rahe
saari raunaqon ka hisaab na de

---

siyaah raaton me rah gaye
rihaa karke subah gaye
kehakashaanon ke
kaarwaan
badhte gaye

sawaalon ka tarajuma
khayaalon ka tajaruba
yun hi saalon se
ye bayaan
karte gaye

udte rahe
gunjaaishon ke aasmaan me
udte rahe

udte rahe
ke
haqeeqat ki zameen
pheeki hai bahut

---

safar me jo mazaa hai manzil me kahaan
jo sach ho sake aise khaab na de

mujhe hai muhabbat sawaalon se
thahar - abhi mujhe jawaab na de

---

let me fly in the sky of possibilities

let me fly,
for,
reality is, but, a dull patch of earth

let no dream come true

ain't the journey more fun than the destination?
the anticipation, more exciting than the event?
the hope of multiple possibilities, more marvelous than one single happy moment?!