Tuesday, March 03, 2015

253. Gunjaaish


inhe hai muhabbat sawaalon se
thahar - abhi inhe jawaab na de

saude taariqi ke baaqi hi rahe
saari raunaqon ka hisaab na de

---

siyaah raaton me rah gaye
rihaa karke subah gaye
kehakashaanon ke
kaarwaan
badhte gaye

sawaalon ka tarajuma
khayaalon ka tajaruba
yun hi saalon se
ye bayaan
karte gaye

udte rahe
gunjaaishon ke aasmaan me
udte rahe

udte rahe
ke
haqeeqat ki zameen
pheeki hai bahut

---

safar me jo mazaa hai manzil me kahaan
jo sach ho sake aise khaab na de

mujhe hai muhabbat sawaalon se
thahar - abhi mujhe jawaab na de

---

let me fly in the sky of possibilities

let me fly,
for,
reality is, but, a dull patch of earth

let no dream come true

ain't the journey more fun than the destination?
the anticipation, more exciting than the event?
the hope of multiple possibilities, more marvelous than one single happy moment?!
 

No comments: