Borrowed thoughts
jab dekha tujhe
na milaa paayi nazrein
ik farishte sa hai tu
ro na padti kahin
ik tinke sa tu
ude saara jahaan
tu hai khaas itna
kaash main khaas hoti
par main hoon ajeeb
hoon ajeeb itni
kya kar rahi hoon yahaan
hoon hi nahin yahaan ki
dard ho bhi to kya
bas ho tu mera
chahoon jism anokha
chahoon rooh anokhi
ho ehsaas tujhe
jab main paas nahin
tu hai khaas itna
kaash main khaas hoti
par main hoon ajeeb
hoon ajeeb itni
kya kar rahi hoon yahaan
hoon hi nahin yahaan ki
---
kabhi kabhi
alfaaz girvi rakhkar
ehsaas udhaar
lena padta hain
I am a creep...
I don't belong here!
No comments:
Post a Comment