Saturday, November 28, 2015

266. Rahne de


ek arse tak
main bas
tu tha

tere saaye pahanke
teri haqeeqatein maan li
teri naseehatein maan li

khudaa banta gaya
tu mera
khudee bharta gaya
tu meri

mere naam to mahaz rasm the
tune jo kaha
nibhaa liye

ab

naam tere guzar gaye
shaam saare utar gaye

khamoshi me posheeda hoon
main
ab benaam rahne de

bemanzil yun pehli dafaa hoon
main
ab naakaam rahne de

koi naqshe na dikha
naye rasmein na sikha

mujhe
rihaa na kar

meri hasratein
baqsh de
meri fursatein
baqsh de

mere daayre
baqsh de
mere aaine
baqsh de

meri harkatein
baqsh de
meri furqatein 
baqsh de 

meri sohbatein
baqsh de
meri naubatein
baqsh de 

ke
main
abhi jaari hoon yahaan
main
abhi baaqi hoon kahin

haan,
main,
tujh bin, khaali hoon zara

par
main to ab kaafi hoon yun hi

mujhe 
rahne de!?
---

No comments: