Sunday, September 17, 2006

We live on!

Each day is a ritual
& so is each night
Birds flying to paint dawn on the skies
Moon seeking shadows
to don over a fortnight
only to shed them over the next

Shadows tied to our feet
growing at dawn
fleeing at twilight
Reflections bound to our eyes
floating on water
flying all around as we move

No, nothing changes with time
but nothing is the same either
as we live on

hope is a superstition
& so is fear
But unlearning instincts
was never an easy task
virtues & vices
obsolete definitions
pronouncing us guilty

Smiles of contempt staining faces
Wait! I smell deception
Sorry- just my cologne
Just pull the blinds down
and go for the kill
What they know not, would not hurt them
don't be forthright
or be damned

Yes, everything changes with time
but everything is still the same
coz we live on

Wednesday, September 06, 2006

Din- Raat

Dhoop saaya hai phoonke se udti nahin
Raat jugnu hai kabhi haath lagti nahin

Subah badi natkhat hai
Aati hai chaukhat pe
Chamakti hui chahakti hui
Aawaz de jaati hai
Leke thode ujaale naashte me
Har roz yun usi raaste me
Thodhi dhoop ladi main, nange paanv khadi main
Paanv jalne lage to, daude chaanv chadhi main
Dhool udake dhoop chudane chali thi magar
Dhoop saaya hai phoonke se udti nahin


Paniyon pe roz chand khilta hai
Choo loon to toota sa hilta hai
Saara shab bematlab kyun shor karta hai samandar
Kaali raat khaali raat par gaur karta hai samandar
Aag me kabhi haath senkti hoon kabhi raat belti hoon
Kabhi raaton me chuamchuii lahron se saath khelti hoon
Haule kinaaron ke konon pe chalna, lahren daude aaye to uchalna
Bheege ret pe dhat se phisalna,phir phisal phisal ke sambhalna
Aur phir aakhir jab main thak jaati hoon
Door khayalon me dheere sarakh jaati hoon
Moondi palkon pe neenden malke yeh jalti hai
Raat jugnu hai kabhi haath lagti nahin

Dhoop saaya hai phoonke se udti nahin
Raat jugnu hai kabhi haath lagti nahin

Utho na

utho na utho ab tum kuch bolte kyun nahin
dikhao hai kya mutthi me kholte kyun nahin
utho na chalo ab gussa thoonk bhi do

tumhe bandar-vandar bulaoongi nahin
kahin bhi bole bina jaaoongi nahin
utho na...
-------------------------------------------------------

lete ho jab mujhko peeth pe bori
kaan kaantke bhaagti hoon
sunate ho jo mujhko misri si lori
sunte raat bhar jaagti hoon

peeth savari bithao na ghode
saayon se panchi banao na thode
utho na chalo ab gussa thoonk bhi do

----------------------------------------------------------

saabun ke paani se bulbule phoonko
koond koondke phir phonde
jheel ke paani pe kankad yun phenko
woh langdi maarke daude

maa kahti hai tum uthne wale nahin ho
uthke bolo itna gussa bhi nahin ho
utho na chalo ab gussa thoonk bhi do
-----------------------------------------------------------