Wednesday, September 06, 2006

Din- Raat

Dhoop saaya hai phoonke se udti nahin
Raat jugnu hai kabhi haath lagti nahin

Subah badi natkhat hai
Aati hai chaukhat pe
Chamakti hui chahakti hui
Aawaz de jaati hai
Leke thode ujaale naashte me
Har roz yun usi raaste me
Thodhi dhoop ladi main, nange paanv khadi main
Paanv jalne lage to, daude chaanv chadhi main
Dhool udake dhoop chudane chali thi magar
Dhoop saaya hai phoonke se udti nahin


Paniyon pe roz chand khilta hai
Choo loon to toota sa hilta hai
Saara shab bematlab kyun shor karta hai samandar
Kaali raat khaali raat par gaur karta hai samandar
Aag me kabhi haath senkti hoon kabhi raat belti hoon
Kabhi raaton me chuamchuii lahron se saath khelti hoon
Haule kinaaron ke konon pe chalna, lahren daude aaye to uchalna
Bheege ret pe dhat se phisalna,phir phisal phisal ke sambhalna
Aur phir aakhir jab main thak jaati hoon
Door khayalon me dheere sarakh jaati hoon
Moondi palkon pe neenden malke yeh jalti hai
Raat jugnu hai kabhi haath lagti nahin

Dhoop saaya hai phoonke se udti nahin
Raat jugnu hai kabhi haath lagti nahin

No comments: