Batate nahiN haiN kisiko par haaN talaashte haiN
Zindagi to baaki hai, thodi jaaN talaashte haiN
chand lamhe chhalak-kar dil pe daag de gaye
yaadon me ham ek-aadh muskaaN talaashte haiN
beet gaye, saans lene ke vajah jitne bhi the
kuch naye bahaanoN ke mehmaaN talaashte haiN
ujaale malta tha din,raat cheente chidakti thi
khidki pe pehle wala aasmaaN talaashte haiN
ek umr gayi armanon ke manzil ki khoj me
manzil me ab apne armaaN talaashte haiN
jinhe zindagi de di, woh do pal dete nahiN
khud kuch waqt bebas-o-hairaaN talaashte haiN
ruka nahiN karti boondoN me bandhi kahaaniyaN
ham kyuN paaniyoN pe nishaaN talaashte haiN
matlab bhi to mausam se badalte guzarte haiN
tasveeroN me ham guzri daastaaN talaashte haiN
ham haiN kya yeh, bhool se jaate haiN kabhi
guzarti nazroN me apni pehchaaN talaashte haiN
dard to khilta hai dil me, magar sukooN nahiN
kya bataye is mui ko kahaaN kahaaN talaashte haiN
Batate nahiN haiN kisiko par haaN talaashte haiN
Zindagi to baaki hai, thodi jaaN talaashte haiN
No comments:
Post a Comment