Saturday, February 03, 2007

Meharbaani

koi ishq ishq sahta jaaye
koi ashq ashq bahta jaaye
shab-o-roz bheege-geele se hain
koi khushk sahar pahna jaaye
to meharbaani hogi!

..........................

us paar koi hai bhi ke nahin
maloom nahin jaana bhi nahin
jaane kyun magar, itna hai yakeen
sunta hai woh, bas aawaaz nahin

rozana yunhi shaam-o-sehar
yun kabr pe phoolon ke zariye
apni baatein kahta jaaye
aur ashq ashq bahta jaaye

............................


murda lamha saans bharta hi nahin
jaan phoonke, koi karta bhi nahin
afsaana jo tasveeron me qaid-
zinda bhi nahin, marta bhi nahin

rozana yunhi shaam-o-sehar
besabr se thahar-ke raahon me
ummeed liye rahta jaaye
par ishq ishq sahta jaaye

...............................

jaane kitne shikwe chede
bikhri kaliyon ke sannaate
karoobaar khusboo ka khatm kiya
par aise jhadte nahin kaante

rozana yunhi shaam-o-sehar
girte bhi gaye ginte bhi gaye
naamunasib hai kahta jaaye

koi ishq ishq sahta jaaye
koi ashq ashq bahta jaaye
shab-o-roz bheege-geele se hain
koi khushk sahar pahna jaaye
to meharbaani hogi!

This is about painful love in different forms - the one which does not die with the dead & the one which never quite made it & the one which is dead but for the complaints... & people are stuck to it, why??God alone knows!!
Can someone change it?
meharbaani hogi!

1 comment:

Anonymous said...

aur bhi gam hai duniya me mohabbat ke siwa....
lamhon ke aur bhi fayde hain gujre mohabbat par chadne ke siwa....