Thursday, January 11, 2007

Is shahar ki nigodi galiyaan

kuch choti kuch chaudi galiyaan,
is shahar ki nigodi galiyaan-
main ghar se na nikloon jo kabhi,
meri raah dekhne mudti hain,
khidki pe ret si udti hain,
agle din paiyya padti hain.

mujhe giraake daant dikhati hain! (teeth)
har roz yun daant sikhati hain. (gaali)
meri jaan baantke khaati hain,
is shahar ki nigodi galiyaan.

dupahri shor ke sang tahalti hain.
kachahri bani to inki kya galti hai?
sabke ishaaron se banti badalti hain,
is shahar ki nigodi galiyaan.

kahin simat-ti kahin bikharti hain.
naqshon se bachke guzarti hain.
par roz hi peecha karti hain,
is shahar ki nigodi galiyaan.

har subah ye dhoop me pakti hain;
phir shab aake inhe dhakti hain.
ruke koi to jhat se lapakti hain,
is shahar ki nigodi galiyaan.

mitti ke libaas pahanti hain-
kadmon ki kahaani sunti hain-
nishaanon se pahrein ginti hain,
is shahar ki nigodi galiyaan.

kitne pairon ke neeche pisti hain-
kahin se nikalke kahin ghusti hain-
kitnon ka ghar kitnon ki basti hain,
is shahar ki nigodi galiyaan.

har raat in kaali sadakon par,
parchaaiyaan baithi rahti hain.
in saayon se phir din bhar ke
sab gappe sunti kahti hain,
is shahar ki nigodi galiyaan;
kuch choti kuch chaudi galiyaan.

1 comment:

Mitwa said...

i just stumbled onto your blog and vowww , wat a sheer beauty is here,

Loved the few posts so far i have read, and hope to read it more n more.

Good luck