Tuesday, March 20, 2007

Tafreeh

aao
raat bhar
baat karte chalein
saath marte chalein

aao
raat bhar
raat bharte chalein
haath dharke chalein

raatein tarse jo kabhi to dooja chand ugal jaaye
baatein barse jo kabhi to thodi neend nigal jaaye

kahin to hoga koi
jaga jaga apna saga
yunhi masroof majboor hoga

jagah koi jism hogi
vajah koi rasm hogi
dhoondhte hain
chal na

---------------------------------

aao
bujhe lab pe
lafz jalaa de
lafz chadhaa de

aao
mare shab ki
nabz jagaa de
nabz chalaa de

jabeen pe bhatki khaali takdeer ke zakhm bhar de
zubaan pe atki khamosh tasveer ko khatm kar de

kahin to hoga koi
jaga jaga apna saga
yunhi gumraah gumnaam hoga

jagah koi jism hogi
subah hawa bhasm hogi
soonghte hain
chal na
-----------------------------------

Recreation - is it a choice or an obligation?

No comments: