meri aankhon me ek shahar hai
jiska naqsha tum roz badal dete ho
pichli raat kisi yaad ke bagal me
maine ek kamra banaya tha,
jisme kitne khayaal,
ajeeb-o-gareeb chehre lekar,
baith gaye the
phir tum aaye.
aajkal chehre to pahante nahin ho!
bas aawaazein pakadke aa jaate ho!!
kal bhi aise hi aaye the
aankhon me hawaa bankar...
aur saare chehre
aawaaraa pannon ki tarah
udne lage the aankhon me
na jaane kyun
meri aankhon ke shahar ka naqsha
tum roz badal dete ho
ab dekho,
na mujhe pichli raat wala kamra milta hai
na woh bikhre khayaalon ke panne milte hain
aise hi tevar rahe to
main kal se
in aankhon ki khidkiyaan
nahin kholoongi, haan!
1 comment:
nice poem man.
metaphors are great
i like them...
Post a Comment