Wednesday, July 11, 2007

Insaan bhi mausam hai

kis baat ki baat karoon, har baat kahin gum hai
jab baat karoon tumse, jazbaat kahin gum hai

dooja pehlu dekha, chand ka, tere sang, kabhi
tanha koshish kya karoon, ab raat kahin gum hai

baadal barsi thi kabhi, baatein ab barasti nahin
nazrein pooche hain kyun barsaat kahin gum hai

do lamhen lavz bhare, sadiyaan phir sannate
lab shikwe kare mujhse, hamjaat kahin gum hai

tere lahze ke naqshe par, woh shaqs mila hi nahin
bas beech ke purze mile, shuruaat kahin gum hai

hai kisiki meharbaani- tu woh to nahin jo tha
tu gum hai,aur sukoon tere saath kahin gum hai

kis baat ki baat karoon, har baat kahin gum hai
jab baat karoon tumse, jazbaat kahin gum hai

2 comments:

Unknown said...

wonderful work!!

wish I cud write like that!

Anonymous said...

tis toooooo good