Kabhi sadak ke is paar chale aana
jahaan surkh aasmaan pada rahta hai
aaoge to dekhoge
daastaan yahaan aisi bhi hai
ke daag mile hain viraasat me
dikhte bhi nahin, dhulte bhi nahin
aur naam bhi loge tum jo agar
saari subahein bujh jaate hain
badgumaani besabab si bas
libaas hai yahaan har chehre ka
kya karein jo zamaana kachahri hai
aur khud qaazi hi qatl karein
gumnaam kisi raat me chhip jaaye
bas itni si khwahish hai abhi
kabhi sadak ke is paar chale aana
ik shahar hai surkh aasmaan tale
jahaan oonchi imaaratein hain sawaalon ki
kabhi to in par bhi gaur karo
----------------------------------------------
Kids diagnosed HIV+ rejected admissions in schools in Kerala because parents of other kids object.
So much for education, awareness... blah blah blah!!!
No comments:
Post a Comment