Tuesday, July 22, 2008

Kabhi sadak ke is paar chale aana - II

Kabhi sadak ke is paar chale aana
jahaan beemar zameen hai ik arse se

aaoge to dekhoge
daastaan yahaan aisi bhi hai
kisi sunn sahar ke kohre me
kohraam utha kisi kooche me

zindagi ke kaii purzon par
ab bhi gard jami si hai

chehre bejaan adhoore hain
aur pahar mushkil se utarte hain

kharch hue jaati hai jaan magar
umr to wahin bas thahar gayi

behisi ki khaab hai aankhon me
kaash khaak ho jaate usi sahar

kabhi sadak ke is paar chale aana
ik shahar hai yeh beemar zameen
yahaan ummeed ke kabr hazaaron hain

kabhi to in par bhi gaur karo

------------------------------------------------
24 years since the Bhopal gas tragedy, the place is still a carnival of mental & physical illnesses/disorders... Is there hope around the corner? Will it end?

1 comment:

Anonymous said...

hey man,

it is beautiful,sensitive and relevant.

keep writing buddy