Saturday, September 20, 2008

Aasmaan-wale

zaraa jagaa de
jabeen ugaa de
aasmaan wale



pooche na koi
aise rookhi rookhi raaton me sooni sooni ankhiyaan kyun jaage hain

dekhe na koi
saayon me simat-ke sadiyaan kahaan ye bhaage hain

kohre me gum se chehre hazaaron sajde me utre hain
ik umr se ummeed me pahar ye bujhe hain bikhre hain

sabaa chalaa de
sukoon dilaa de
aasmaan wale



khabar na mila
un raston ka jo kabhi haathon me bante bigad-te the

khabar na mila
un naqshon ka jinhe kabhi udte khayaal pakadte the

padh le kabhi aasmaan ke is jaanib bhi duwaayen hai
sunn se shab, soone se sahar aur bezaar hawaayen hai

raah dikha de
rooh chuda de
aasmaan wale

No comments: