Poetry or something like that... The name says it all, this is plainly an attempt to take my heights of craziness into the lyrical domain. I have a rich imagination. That I think so is proof enough for that!! So, People! Come here to hear me say things you all know in words you cannot comprehend!
Tuesday, April 28, 2009
Be-ikhtiyaar
besabr-o-besabab sab bharta gaya
mere lab to rab rab karte rahe
par betalab har matlab marta gaya
chaunk-ke ulajh gayi ab raahein meri
yahin kahin kabhi mera ghar tha. gaya!
mujhe khush rakhna hai kasoor tera
muaaf karne ko main ab marta gaya
jis jaanib jaaoon jahaan me tu
tujhe sochoon dil jab jab karta gaya
ikhtiyaar aur ishq to raqeeb se hain
bekhabar main kya kab karta gaya
tere kandhein pe khwahishein likhni thi
pichla pahar ik mauka agar tha, gaya!
Monday, April 27, 2009
le chaloge?!
le chalo mujhe tum
kabhi us jagah
jahaan pe zameen aur aasmaan milte hain
jahaan aazaad bhatakta ho har pahar
na saleeqa na hisaab
na tareeqa na paabandi
ham thahar jaaye kisi raat par
aur peecha karte karte
kisi nanhi narm subah ka
kabhi baarish me bheeg-ke raqs kare
kabhi barf ke teelon ko gudgudaaye gaa gaa-ke
kisi ped pe apne naam likhe
kisi dariyaa pe apne panv ke nishaan chod de
yaa phir sochti hoon
rahne do
tum mujhe bas apne yahaan le chalo
aur main
saari raat tumhare kaandhe pe
apni aarzoo likhti rahoon
ungliyon se
le chaloge?!
Friday, April 24, 2009
Kuch to kaho
main dasht hoon besabr si
tum zaalim se ek abr ho
tum udte ho main tarasti hoon
tum kishton me baraste ho
ye ret ke jism-o-rooh mere
bikharne lage hai hawaon me
tum kabhi kabhi kuch bol bhi do
tum kabhi kabhi kuch bol bhi do
yaa ab main bhi jo udne lagoon
beraham si khamoshi odhe-
dhuen sa chehra lekar apna
tum mujhse shikaayat mat karna!!!
tum
ek bahri yaad bankar
meri aankhon me soye pade ho
pichli raat se
kabse
aawaaz diye jaati hoon
na sunte ho na jaagte ho
bas muskuraakar
karvat lete ho
aur phir so jaate ho
aise hi rahoge
aankhon me
to baaki duniya kaise nazar aayegi
ab bahut hua-
tum niklo abhi aankhon se
raat ko phir laut aana.
arey baba!
daftar me hoon!
kaam bhi to karna hai!!
------------------------------
:) :) :)
Thursday, April 23, 2009
tum kabhi yun bhi karo...
ek lifafe me bhej do hame-
ek kaagaz bhar
muskuraati khamoshi
thodi baatooni nazrein tumhari
tere sufiyaana khayaalon ki mahak
thodi surkhi jo ugti hai
apni guftagu se
teri aankhon me base
mausam ke hisse
tumhare ungliyon ka ehsaas
jo tona sa kar jaata hai
waqt par
thodi si muhabbat
kisi bedaar raat me lapeti hui
aur haan,
do chaar bose
jo sabaa se choo jaaye
rukhsaaron ko
ham to
teri zameen par
bhool aaye hain
jaan apni
tum kabhi yun bhi karo
ek lifafe me daalke
bhej do hame
do chutki zindagi
yeh kya karte hain
subah phir khud ko sila karte hain
dooriyon me bikhar jaate hai murjhaake
mulaqaaton me simatke khila karte hain
sochte hain rah lenge ham judaa aapse
phir bunke bahaane aap hi se mila karte hain
berahami aap hi ka hai, khushfahami aap hi se
aur ham jaa jaake aap hi se gila karte hain
Monday, April 20, 2009
haan.. pahunche!!
nikle the kis taraf, aur ham yeh kahaan pahunche
aise me bataaye kya ke kahaan ko daastaan pahunche
pata to diya nahin, bas nishaan mile paanv ke
peecha karte karte tera, ab ham aasmaan pahunche
kitne betaab se nikle the, aur tum mile kuch ho gaya
is liye to tere dar, hairaan-o-bezubaan pahunche
raat karvat leti hai itni, lamhon pe shikan se bane
beraham se tum jo banke aankhon ke mehmaan pahunche
hamaare kooche me bhi aakar, alfaaz chidak jaao kabhi
khamoshi ko aaraam mile, labon pe muskaan pahunche
kuch hai tum-me ke har dil hai ghulaam tera
bas tere aashiq mile, ham jahaan jahaan pahunche
ab deewane se teri aahat pahanke nikalte hai ham
kahaan ko nikle the ham aur ab yeh kahaan pahunche
Sunday, April 19, 2009
mujhko aawaaz de...
choo le mujhko zaraa, bezubaan kar de
de ijaazat, tere khaabon me aa jaa sakoon
tere seene me mujhe ik khushnuma ghar de
Friday, April 17, 2009
nazm
ab bhi meri aankhon me padi hai
tum saahil pe lete hue the
aur lahre daud daud-ke aati
aur tumhare shahad se badan pe
namkeen bulbulon ka libaas pahnaa jaati
tere chehre pe
ik saundhi si hansi thi
jis-se saara ufaq mahak utha tha
sooraj
baukhlaaya sa
tumhare pairon pe pade samandar par
ik gulaabi kahkashaan bikher gaya tha
jaate jaate
agle dopahar
teri narm aawaaz choo gayi to
aasmaan pighalke
betaab samandar me ghulne laga tha
teri saundhi si hansi ki khusbo
ab bhi nikalti rahti hai
seene se har shab
woh shaam-
woh shaam ab bhi
padi hai aankhon me meri
aur har pahar tasavvur me
teri aawaaz gungunaati rahti hai
'ae ajnabi tu bhi kabhi aawaaz de kahin se.'
-------------------------------------------------------
Happiness is happening off!!!! :D :D :D
Kanjoos
poori daastaan bhej di unhe
kishton me saara aasmaan bhi
shahad me duboke subahein bhi
muskaanon se sajaake shaamein bhi
aur woh...
aur woh hain ki
ab bhi lafz tol tol-ke paroste hain hame!!
Wednesday, April 15, 2009
Tum jo aaye to...
jeene se gair tha ye dil
lekin jab se tum mile ho
dil parinda ho gaya
ye phir se zinda ho gaya
tum jo aaye to
hosh gaayab hai
tum jo aaye ho
naamunaasib hai
khayalon me tere dam tode hain din
tere sapnon me jaan ganvaati hain raatein
tum jo aaye to
chain zakhmi hai
tum batao to
kya berahami hai
tum jo aaye to....
-----------------------------------------
now this one had to go up... :D :D
Rasoi
main to dhaniyaa koot raha tha
aaloo kaanda kaat raha tha
muskaan ugaa gaya khayaal tera
main to masaala baant raha tha
beech me imli chaat raha tha
muskaan ugaa gaya khayaal tera
lolz lolz... yes yes... I know... don't look at me like that!!!