le chalo mujhe tum
kabhi us jagah
jahaan pe zameen aur aasmaan milte hain
jahaan aazaad bhatakta ho har pahar
na saleeqa na hisaab
na tareeqa na paabandi
ham thahar jaaye kisi raat par
aur peecha karte karte
kisi nanhi narm subah ka
kabhi baarish me bheeg-ke raqs kare
kabhi barf ke teelon ko gudgudaaye gaa gaa-ke
kisi ped pe apne naam likhe
kisi dariyaa pe apne panv ke nishaan chod de
yaa phir sochti hoon
rahne do
tum mujhe bas apne yahaan le chalo
aur main
saari raat tumhare kaandhe pe
apni aarzoo likhti rahoon
ungliyon se
le chaloge?!
1 comment:
simply superb...:)
Post a Comment