Friday, October 09, 2009

189. Sawaal

1.

ghar se nikla to sadak pe
kuch noorani muskaan
bikhre pade the

kya tum
meri gali se hoke nikle the?!

2.

tumhare zahan ki zameen
bahut chikni hai

main apni itni yaadein
tumhare kitne vaade
rakhta hoon
wahaan baar baar

aur wo!
wo thaharte hi nahin

har baar
phisalke nikal jaate hain

aise me
tum hi batao
main kya karoon?!

1 comment:

मुक्ता_MUKTA said...

sach..royenge hum hazaar baar koi humein sataye kyun