SB:
teri ik aawaaz ki chahat thi,
tune aawaaz de di hoti to
maine apni jaan de di hoti
Sri:
ijaazat ki intezaar me murjha gayi na jaane kitne hi shab
betalab dastak de jaate to sukoon kuch kam nahin milti!!
SB:
masha alla, kya likha hai
Sri:
kuch aur farmaiye kuch aur farmaiye
jo kaha hi nahin, uspe gaur farmaiye
SB:
yahaan to apni shaam ka anjaam karte hai,
aye mere kalam padhne wale tere dar se khali haath jate hai
Sri:
:)
SB:
aye khuda yun zulum na dikha,
bas apni ek zalak to dikha ja
Sri:
mushkil hi sahi kuch der ye faasle rahne de
tadap tadap ke khwahishein bujhaana sikhaa doon tumhe
SB:
aaj saqi hi bol raha hai
dard-o-gum ko bhul ja
par mera sahara na le
Sri:
saaqi se gila na kar zaalim ke
gunaahgaar yahaan aur bhi hain
pyaale me pyaas bhar bhar ke de
aise yaar yahaan aur bhi hain
1 comment:
Wonderful post... I really like the creativity in your post and it surely deserves an applause.
Post a Comment