Sunday, November 13, 2011

220.

muskaate-hanste the, gurrate-danste hain
saleeqe seekh gaye, zamaane ke, kuch ham bhi

ittefaqn sukoon jo mile, bechaini hoti hai
jo dard se ishq sa ho, sazaa lage marham bhi

guzarte hisaab se hai saare paaband pahar
manaaye do pal ke jashn, bas do pal maatam bhi

tasveeron ke teelen bahut sajaate to hain har jaanib
par bun-ne ko yaaden yahaan, waqt hai kuch kam bhi

rah rah-ke sulagte hain, rah rah-ke baraste hain
haan, apne hi jaat ke hai is shahar ke mausam bhi

------

Ruko. Gaur karo. Dekho -
Mehfil me kya rakha hai!
Lutf uthao to safar ka zara.
Manzil me kya rakha hai?!

No comments: