Sunday, October 11, 2015

263. Dikhayi duniya

ulat palat-ke
dikhayi duniya
dagar se hat-ke
dikhayi duniya

meri nazron pe chadhe rangeen chashme
sadak pe patke;
dikhayi duniya

marzi se andha tha jab main
maar-ke phatke
dikhayi duniya

dheeth hoon main, kam ziddi nahin wo
yun jam-ke dat-ke
dikhayi duniya

be-buniyaad se darr the jitne mere sab
rah gaye simat-ke;
dikhayi duniya

raste hain rasmen - samjhaake mujhko
bhatak-ke bhatke
dikhayi duniya

ulat palat-ke
dikhayi duniya
shukr hai- hatke
dikhayi duniya

---

when I need to go mad
when I need to feel sane -
Sushma & Pidi.



No comments: