Saturday, August 05, 2006

Khabar

Raat dhale to khabar hai
Saans chale to khabar hai
Aag lage to khabar hai
Khaab jale to khabar hai

kahin zindagi pal rahi hai, khabar hai
kahin zindagi tal rahi hai, khabar hai
kabhi jaan me jaan aati hai, khabar hai
kahin se jaan nikal rahi hai, khabar hai


Har kone me koi na koi khabar pak rahi hai
Har aankh nayi khabar ko besabar thak rahi hai
Potli me, chalo, thodi aur jalti raat phenk le
Kal isi garam khabar pe apne haath senk le

Duniya ke parde pe roz naya tamasha lagta hai
Khabar ke libaas me dard roz hame thagta hai
Koi khabar khareedta hai, dard bikta hai baazaar me
Apni zindagi kahin bhool gaye, talaash hai ab akhbaar me

----------------------------------------------------------------
Sorry for makng it sound like -"No news is good news"!!

1 comment:

Anonymous said...

Kisi khabar ke liye besabr hoke to dekho, us khabar ke milne pe kya baat hoti hai..:-)

Not that you dunno :-)