Friday, August 11, 2006

De do na!!

mutthi bhar roshni kar do soone se sehar me
chutki bhar chandni bhar do beraham dopahar me

aadhi hi sahin labon ko muskaan de do
sooni zindagi ko thodi si jaan de do

ek sadi ki nahin ek ghadi hi sahin
do kadam aasmaan aaj hamko yahin
de dona
...............................................................

sooni aankhon me armaan chidak jao
thahre dil me tum aake dhadak jao

boond kaafi hai ab doob jayega dil
chahaton, boond banke tapak jao

hai raahi ko bhi raaste ki khabar
aye rasta, ab tum khud bhatak jao

chup se honthon ko do chaar alfaaz de do
kabse baithe hain, ab humko aawaaz de do

umr bhar ke safar ka iraada nahin
do ghadi do kadam waise zyada nahin
de dona
...................................................................
subah baat karke dhuaan chod jao
jalte aasamaan pe ruuii odh jao

ruaa sa aasmaan ruaansa aasmaan
baras jaaye to thoda sa tod jao

seedhi lakeeron pe chalta hain waqt
aage rasta phir yahin ko mod jao

bewaqt bevajah kabhi dastak to de do
saath mera kabhi agle pal tak to de do

khokhle khaab kabhi nazar se guzarte nahin
tum waqt deke aankhon me thaharte nahin
de dona
.....................................................

No comments: