aaj sadak par chalte chalte, ek bejaan si soorat dekhi hai
taajjub hai ek insaan pe ek insaan si soorat dekhi hai
ujhde-jhade khaabon ki baatein har roz maine udti suni
jo kabhi suni hi na ho aisi dastaan si soorat dekhi hai
na to jazbaat bikhre the kahin, na ummeed nishaan chod gayi
ik khaali si, ik sooni si, sunsaan si soorat dekhi hai
dhoondh dhoondhke bahaane aaj to saari duniya dariya hui
sabse alag jalti tapti registaan si soorat dekhi hai
kitne chehre dekhe, sab par hasrat ki patangein udti hain
pehli baar yun khule khaali aasmaan si soorat dekhi hai
aawaaz uthaai hogi kabhi,dikhte hain aankhon me kuch tukde
ab to khud pe sannaate mali, bezubaan si soorat dekhi hai
baaki thake-mare se hain, bas harkat se zinda lagte hain
hilti-dulti to nahin phir bhi jawaan si soorat dekhi hai
No comments:
Post a Comment