Pichli raat kuch likha tha maine
socha tumhe de doon
phir socha- rahne do!
tumhare kamre ke peele-narangi deewar pe
ek masoom si hansi tangi rahti hai
kuch pandrah saal purani hansi
us ghadi ke baaju me..
jo bade zor se aawaaz karta hai
aur bees minute tez chalta hai
kabhi kabhi daftar me
mez pe baithi 'bowl' me woh hansi dikh jaati hai
kabhi kabhi sadak pe
koi baccha hans pade to teri aahat si ruk jaati hai
kabhi kabhi aankhon se
woh hansi girke do boond mere lab pe rakh jaati hai
socha saari baaton-yaadon ki halki pudiya
bandh-ke tumhe de doo
aur tum yaad se le jaaogi apne shehar
phir socha- rahne do
pichli raat bahut kuch likha tha maine
socha tumhe de doon
phir socha- rahne do!
tumhare ghar ke aage ek rasta hai
jab bhi tum ghar se nikalti ho to bahut hansta hai
main der se aaoo to gurrata hai aur mujhe dansta hai
aaj bhi mere pairon se ulajhti rahti hai
woh dhadak-ti sadak
aur kabhi us raste pe basti sunahri khamoshi
dheere dheere sarakhti hui
meri gali aa jaati hai, mere peeche
tumhare baad aasmaan pe shayad winter sa hai
sitaare jhadte rahte hain
aur tere ghar ke raste pe padte rahte hain
yaa phir shayad raaton ko tere intezaar me
timtimake timtimake thake sitaaren
tere dar dastak dene utar aate hain
socha saare thake taaron ki halki pudiya
bandh-ke tumhe de doo
aur tum yaad se le jaaogi apne shehar
phir socha- rahne do
pichli raat sab kuch likha tha maine
socha tumhe de doo
phir socha- rahne do!
3 comments:
"socha saari baaton-yaadon ki halki pudiya
bandh-ke tumhe de doo
aur tum yaad se le jaaogi apne shehar
phir socha- rahne do"
sabhi tohfo ka shukriya...bahut sambhaal kar rakha hai maine....
Post a Comment