Tuesday, April 17, 2007

Khwahishein

tumpe marna shauk hai, tumhe jeena pesha mera

yunhi jeene ke mujhe kuch aur sabab suhaane de
tumpe marne ke mujhe thode aur haseen bahaane de


meri tasveer liye sapne kitne hain be-ghar bikhre

tere seene me inhe jeene de, do pal bitaane de
yaa inhe teri aatishiin aankhon ke aashiyaane de


teri aawaaz se aabaad hai har ik lamha mera

har sahar sard aahon ko teri aahat me jalaane de
har shab rishton ka karz kishton me nibhaane de


udaa rahe ho sadiyon se, utaarte kyun nahin

chod de aasmaan ko, ab to isko apne ghar jaane de
aasmaan banke tere chaukhat pe mujhe lahraane de


dil vajah hai khwahish ki yaa khwahish dil ki
mujhko itna to samajhne de aur samjhaane de
jis mu-amme me khatm hua hai sukoon apna
us silsile me ab tumhe bhi zara uljhaane de

2 comments:

Anonymous said...

filmy...very filmy. U've wriiten better than this.

Unknown said...

dil jagah hai khwahish ki aur khwahish dil ki...

thodi jaldbaaji me likhi lagthi hai...par achchi lagi!!