Monday, April 23, 2007

Tere baad

tere saath bhi jeete the
tere baad bhi jeete hain
haan, mere ghar me magar

zindagi thodi kam si hai

Phir khud ko duaa denge
phir khud ko dagaa denge
phir raah wahi lenge
ham aaj bhi jee lenge
------------------------

inaayat jo karein yaadein
gunguna denge gaa denge
aankhein kaise khaali rakhein
do boondein lagaa denge

gud si baatein teri
ham aaj bhi chakhte hain
ruk ruk-kar hanste hain
ro ro-kar thakte hain

shikwa karein nam si nazar

zindagi thodi kam si hai
------------------------

phir laal se sapne tere
raaton ko jagaa denge
phir aankhein cheekhengi
zaalimon ko bhagaa denge

pichli raat se bistar par
baithe baithe hamne
khidki se ambar par
haule din chadte, dekha

zinda hui duniya magar

zindagi thodi kam si hai
------------------------

tere saath bhi jeete the
ham aaj bhi jee lenge
phir khud ko duaa denge
phir khud ko dagaa denge

4 comments:

Anonymous said...

aawaaz nahi,par aahatein saath hain
pal na sahi,rooh to aabaad hain

tere saath....

Numb Assembly said...

oye..wats up with u??
did u write this in ur 10th standard??it's just that not used to seeing cliche'd stuff from u. Thats for ppl like me to do.
sorry for posting this comment.
like u say, im apologetic about telling the truth :)

Lyrical Craziness Personified said...

I repeat -
Mediocrity has a new home & I am not evicting it anytime soon!

Numb Assembly said...

Dayron me bandhi si hai
Kaydon me simti si hai

Barson ke baad aazad si hai
Kuch gumsum sunn si hai

Chchile hue bharam si hai
Sile hue zakhm si hai

Jale ujde ghar si hai
Us viran aasman si hai

Bhare bhaari boondon si hai
Patjhad ke baad saawan si hai

Tere baad yeh khaali si zindagi
Kuch aabad kuch barbad si hai

------------
any reference to anything or anyone living or dead is purely a co-incidence.