Thursday, April 19, 2007

Zubaan

mannat me kuch rishte maangte hain
jannat se farishte maangte hain

kabhi to chehron pe gaur karte
rasm dafnaake kuch aur karte

to baat alag nahin hoti?

-----------------------------------


har lamhe ka hisaab dhoondhte hain
har kisse ka jawaab dhoondhte hain

bevajah kabhi shaam dhalne dete
nam aankhon me naam palne dete

to baat alag nahin hoti?

-----------------------------------

haathon me hazaaron lakeerein milti hain
taqdeer gumraah hai - kiski galti hai

bas zara si haath ki safaai
karte kismat se thodi bevafaai

to baat kuch aur nahin hoti?

-----------------------------------

andheron me bach bachke afsos karte hain
phir unhi raahon me har roz marte hain

aankhein barasti hain to khaab badal dete
sabhi ko intezaar hai, mahtaab badal dete

baat kuch alag nahin hoti?

-----------------------------------

pichli raaton, bichdi baaton pe maatam manaate hain
zakhm bahut banaate hain aur jashn kam manaate hain

guzre kaaydon ko mitaa dete
jalte maaynon ko bujha dete
hamse hain yeh, inse ham nahin
uth-te, zamaane ko bata dete...

to baat zaroor kuch aur hoti!

-----------------------------------
We pray/wish/hope for thngs to change, thngs to happen, thngs to stop, thngs to begin!
Anybdy asks us to try it ourself... nay, who wud go against tide?!!
A zillion reasons - luck, destiny, stars, rules, conventions... a zillion excuses...Is not our redemption our responsibility?
I am stumped .. Is it not obvious?

1 comment:

Unknown said...

रिश्ते माँगने पर कहाँ मिलते हैं?
फरिश्ते किस बाजार में बिकते हैं?

लकीरें कहाँ बनती बिगड़ती है?
किस पगडंडी पर शाम रुकती है?

रूह कायदों में कहाँ बँधती है?
मायनों में कहाँ सँभलती है?

खुद की आवाज़ सुनने की गर कोशिश होती...
रिश्तों को पालने की गर जिद होती....

तो बात ...

बहुत ही सुंदर!! आपकी शैली लाजवाब है!!