Thursday, September 20, 2007

Har raat ki kahaani

Waise khwahishon ko likhte padhte nahin
par ham hain ki kuch bhi samajhte nahin


--------------------------------------------

badi mehrbaan hoon
shab-e-tajaruba hoon
subah ko saba hoon

Dhoond le ishq meri zameen par

yahaan hoon wahaan hoon
hawaa hoon dhuaan hoon
har kiski duaa hoon

Chod de ishq meri zameen par

jaan baqsh doon, jee vaar doon
jaan kaat-ke sau baar doon

har saans ko parwaaz de doon?

kal khaali aasmaan bhar dengi
khwahishein

---------------------------------------------------


ud lo zara to peeche peeche mausam bhi aayenge
saayon se jhadkar kheenche se ham bhi aayenge

ek umr kya; hazaar doon
seene ki shikan sawaar doon

har saans ko parwaaz de doon?

kal khaali aasmaan bhar dengi
khwahishein

-----------------------------------------------

peshani pe ab raat rakh le, aankhon ke faasle bhar jaaye
labon ki har baat chakh le, khamoshiyaan dabke mar jaaye

nigaahon se sukoon udhaar doon
in aankhon se junoon utaar doon

har saans ko parwaaz de doon?

kal khaali aasmaan bhar dengi
khwahishein

------------------------------------------------

kal subah
ek chehra hoga, ek naam hoga
kahin thahra hua koi kaam hoga

kahaani hogi par baat nahin hogi
peshani pe thami si raat nahin hogi

par jab raat hogi
phir saansein udengi

aur khaali aasmaan bhar dengi
khwahishein

1 comment:

Anonymous said...

duaa maangthi hun ki teri koi bad-duaa lag jaaye
shayad aise hi tujhe chaahne ka karaz utar jaaye