Sunday, September 30, 2007

Subah

roshni ko khauff hai
mil na jaaye phir kahin
khaab koi raat ka
subah ki aad me
----------------------------------

kya bataaye
kya dekha tha

thode, soone seene ke ghar pade the
thode bujhe se raahon par khade the

ujle ungliyon ki aanch se
mere dar pe saare mar gaye

roshni ko khauff hai
mil na jaaye phir kahin
rang bikhre saanjh ke
subah ki aad me
----------------------------------
kya bataaye
kya dekha tha

parchaiyaan pahanke nikalti dopahre
ummeedein ugalte nigalte woh chehre

neend khuli to dhoop udi
aankhon me andhiyaare bhar gaye

roshni ko khauff hai
mil na jaaye phir kahin
hisse toote neend ke
subah ki aad me
----------------------------------

1 comment:

Numb Assembly said...

At the risk of sounding repetitive (but u insist!), it was a nice poem.

Will try to come up with a better reply soon :)