Tuesday, December 18, 2007

Gap-shap

Jab saanjh saans lene lagti hai
to roshni
chupchaap nikal jaati hai
kuch surkhi phir bhi rah jaati hain aasmaan par

saanjh ke utarte hi
choukhat pe saaye dhera daalke baith jaate hain
gap-shap karne lagte hain
din bhar ki baatein
yahaan-wahaan ke charche

kaise naqshe badalne lage hain
kaise din galne lage hain
kisne daraaron me waqt bharne ki koshish kii
kiske ishq ka tabaadla ho gaya aur kahaan
kaunsi gali me rang hadtaal pe utre hain aur kyun

kuch salaah-mashavare
kuch gile-kachahri

main is shor ki khamosh gawaah banti hoon
har raat

kahin tumhaara naam sa nazar aa jaaye
to main saari raat ek ajnabi dastaan me
kuch harfon ki khwahish liye
rah jaati hoon
in saayon ki bheed me

mere seene me bhi bahut si baatein hain
bekas bekal bezaar besabr
tum kabhi yun-hi gap-shap karne mil jaaya karo na!

No comments: