Wednesday, September 30, 2009

186. Sadiyaan saanjh chale!

It has to happen... Once every few months I need to get into a filmy mood... This is a rather old piece.. but feel like posting abhi.. No, no prizes for guessing why?! :P
So here's to the adamant evenings which refuse to pass... and the ruthless nights which refuse to come!!

:) :) :)

......................................................................

sadiyaan saanjh chale

mori to jaan nikale

raah tak thak jaaoon

par na chaand nikale


daiyyaa! raina aave na

saiyyan, aag jale

tose milan ki kaamna

ki dheemi aanch chale


--- --- --- --- --- --- ---


chhin dooje chin ke beech bair hui gavaa?

yaa saanjh ko mose pyaar hui gavaa??


raina kaahe aave na?!


chhin dooje chin ke beech bair hui gavaa?

yaa saanjh ko mose pyaar hui gavaa??


jaa jaa re jaa re

saanjh sakhaa re

raina bhijaa re

more angna re


raina ko odh le

isi aas tale

raah tak thak jaaoon

par na chaand nikale


--- --- --- --- --- --- ---


kauno badra ke bhool bhulaiyya me bhatak gavaa?

kauno angnaa ke peepal pe atak gavaa??


chanda kaahe aave na?!


kauno badra ke bhool bhulaiyya me bhatak gavaa?

kauno angnaa ke peepal pe atak gavaa??


preet ki rang hai

preetam sang hai

bas ik chanda

more sang na, re


chanda ko tod le

isi aas tale

raah tak thak jaaoon

haan, bas jaan nikale


..........................................


Is the evening in love with me? or is this moment having a spat with the next?!
Why does not the f***ing night arrive?!

Is it stuck on some tree? Or is it lost in the maze of some dumb-a** cloud?!
Where the f*** is the moon?!

Phew!!

Come off fastly fastly, I say!!

Monday, September 28, 2009

185. sabab-e-hayaat koi to de

sabab-e-hayaat koi to de


misaal-e-marg ke siwaay bhi

sabab-e-hayaat koi to de


tamaam karna hai kya

yeh bhi to pata nahin

baaqee rah gaya hai kya

yeh bhi to pata nahin


naa ibtedaa ka hai pataa

naa hai nazar me intehaa

yahaan wahaan kahaan kahaan

bas taqariib ki talaash hai


befaez-o-besabab se sab

is justajuu me koo-ba-koo

firaa karen giraa karen

jiyaa karen maraa karen


nabz nabz bas hisaab hai

lafz lafz bas naqaab hai

ehd-e-rasm to kiya nahin

sabab-e-hayaat koi to de


misaal-e-marg ke siwaay bhi

sabab-e-hayaat koi to de

---------------------------------

The Reason?!

Saturday, September 26, 2009

184. tajveez koi tarkeeb koi

hogi koii tajveez to hogi
sochoon main bhi tarkeeb chala doon

har chauraahe ik aah chadha doon
har chaukhat ik armaan bitha doon

tu guzre jahaan se shaqlein badalke
mere khayaalon ka pahra lagaa doon

mere naqsh-e-kadam se rang doon naqshe tere
har shaqs ke lab, mere kisse sajaa doon

har mez har chat har wark har aahat
sab pe tonaa kar meri yaad banaa doon

aasmaan tera hi hai mere sar bhi
mere muskaan ke shafaq ke tukde tangaa doon

gapshap kar le tu kabhi mujhse bhi
betaab main apna hisaab chukaa doon

shikasta bhatkaa sa dar pe mere kabhii aa
tumse uljhe mere shab-o-roz dikhaa doon
---------------------------------

:) :) :)

sabke dardi o bedardi
kaisi hai teri khudgarzi
maine bhar di apni arzi
haan kar naa kar teri marzi...
saiyyaaan!!
(The above five lines of the program are an extract from the song "saiyyan" from the film Nayak)
:D :D :D

Thursday, September 24, 2009

183. Muaafi

kis kis-se iltajaa karen koi yun na kare
jab bhi sahar naya ho uska khoon na kare

kitne tabaah khaab-gaahon ka gawaah - waqt
khamosh sa guzre ye guftaguu na kare

khaamkhwaah sab nigaah ummeedwaar hain
ye zidd to hai fizool ka junoon, na kare

shamsheer-e-zubaan se ab koi kah bhi de
jaan leke koo-e-dil pursukoon na kare

taa-umr bas talaash-e-firdaus hi rahi
kahta koi ke aisi justajuu na kare

gustaakh tha naapak tha par ab subuk bhi hai
tauheen musalsal sabke roobaroo na kare

kabse giraft me taariiki liye hain Sadiq
nijaat-e-dard aakhir koi kyun na kare

Wednesday, September 23, 2009

182. Ek Kahaani Aur!

woh nahin aaya

parson tak woh roz aaya karta tha
saayon ka libaas pahne
bujhti saanjh ke saahil se hote hue

meri peshani pe rukta
aur intezaar karta
mere sone ka

jaise hi main
kisi muskuraati karvat ko chun leta
woh haule se, bina aahat kiye
meri aankhon me utar jaata

aur us mod se nikalta
jahaan main woh
ek sau satrah taaron wali potli
rakha karta hoon...

kabhi kabaar woh ek taara chura leta
aakhir amaanat to usi ki thi
aur us taare ki roshni me
meri aankhon ke galiyaaron se guzarta
jahaan woh hairat se dekhta
maine kaise
uske shab-o-roz
beraham-o-besabab se
qaid rakhe hain
na jaane kitne kamron me

woh aahat to nahin karta
par kuch jaamani rang ke maile saaye chod jaata
mere naarangi deewaron pe

par woh pichli raat
to nahin aaya
na jaane kyun

yun bhi nahin ke main
bedaar baitha tha

koi poocho use
kisi kaanton wale taare se
lagke kahin ungli to nahin kaat li
usne apni

aur haan
ye bhi poochna
kahin woh meri syaah aankhon me
yaadon ke nau hazaar maale
dekhkar
darr to nahin gaya
-------------------------------
that
was inspired!
this
is inspiring!!

Tuesday, September 22, 2009

181. Aabshaar VI

1.
Nayyy, time cannot be an anagram!!

lamhen nichodoon to yaadein tapak jaati hain
ungli jo chodoon to raahein bhatak jaati hain

tajjub hai - waqt to kabhi rasta nahin bhatakta

----------------------------------------
2.
- So?!
- ham na... (pauses) kuch nahin! nothing important!!
- (grunts) hmmm! (breaks into a laugh)

muskuraa lo ke main khushfahami aazmaaya nahin karta
kaif-asar khwahishein meri yun hi sunaaya nahin karta

----------------------------------------
3.
- What do you think?!
- (rolls eyes) I think that you think too much!!

shamme bujhaate muamme suljhaate waqt katne se raha
bas itna bata de main apni shaam kahaan chod aaoon
-----------------------------------------
4.
- How are you?
- Fine, just about! (smiles and looks away)
- Why are you like this? What does one do with you?! (smiles)


bedaar-o-betaab karke hame yun
hamse hamara mijaaj na poocho
marz-e-masarrat lagaaya tumhi ne
khud hamse ilaaj na poocho

Sunday, September 20, 2009

180. Paigaam

pichli raat bhi
main aasmaan se guzar raha tha;
wahi - har shab ki tarah!
thode taare jode ungliyon se;
thode taare pheeke pad rahe the to
tod bhi diye

kisi kahkashaan se guzar raha tha
to dekha ke
khalbali si machi hui thi!

kisi ne payaam choda tha mere liye
wahaan par;
shaayad pata hoga ki
main wahaan se aksar guzarta hoon...

maine taaron ko tatola
to lifaafa mila
us shaqs ne
kuch noorani khayaal
aur kuch sunahre alfaaz
pahnaake
mere naam
ik ummeed rakh di thi
kisi taare ki hatheli me!

lifafe me
thodi si khushfahami bhi thi
thodi si badgumaani bhi
aur ek tasveer thi
jispe muskaan ki aamad se
un rukhsaaron me yun bhanvar pad rahe the
jinme saare taare doob-ke bujhne lage the

aise me khalbali kyun nahin machti?!

main
us payaam-o-tasveer ko
apni neeli kameez me baandhke
waapis to laut aaya hoon

par sochta hoon
is dafa jo jaaoon
aasmaan pe
to wahaan se na lautoon...

kya pata
wahaan pe mere liye
us shaqs ne aur bhi
payaam chode ho?!

---------------------------------
Could I live in the stars?
Could I be your neighbour?!

Friday, September 18, 2009

baatein

Barks and bites!! lolm lolm lolm :) :)

------------------------------------

guftaar nahin deedaar nahin
bevajah yun ham bedaar nahin

kah-ne sun-ne ko hai to bahut
bas tu sun-ne ko tayyaar nahin

sukuun-e-sukuut thi apni kabhi
par ab kahin uske aasaar nahin

khamoshi mere hisse ki khatm
ab lafzon ka koi shumaar nahin

tu thahra badgumaani ka ghulaam
kisi baat pe bhi aetbaar nahin

haan, hai khaamiyon ki dukaan meri
par tu kuch kam aebdaar nahin

-----------------------------------

Shush! dont speak!! :D

Thursday, September 17, 2009

178. mujhko aawaaz de - II

Quit Caution - For the one who wants to tread where fools don't!! :) :) :)

-----------------------------

ehteyaat ab bahut ho chuka beraham
ab to kar de yahaan se wahaan parde

dareecha-e-nigaah kab se shaffaaf hai
kuch na aaye nazar sab dhuaan kar de

fiqr-e-furqat to fitrat me apni na thi
ab khalaon me apne nishaan bhar de

kitna masroof hai tu kitna mashghool hai
koi fursat meri thodi wahaan par de

hai giraftaar teri aahon me shab meri
kuch to kar, ab to inko rihaa kar de

dasht-e-falak pe sitaare tishnaakaam kyun
saraabon me mashroob-e-muskaan bhar de

sukhanwar bana hai ye kaayal tera
aake chuule ise bezubaan kar de

------------------------------------------------

Ehteyaat : Caution
Dareecha: Window
Shaffaaf: Transparent
Furqat: Separation
Khalaon; Vacuum, Space
Masroof, Mashghool : Busy, Occupied
Dasht: Desert
Falak: Sky
Tishnaakaam: Thirsty
Saraab : Mirage
Mashroob : Drink
Sukhan war: Poet

:)

The last line, though, is a rip-off from another piece of mine

Monday, September 14, 2009

177 Come again

:) :) :) :)
------------------------
then i was scared
now i am armed
well, you just stare
and lo, i am charmed

you stand and smoke
and draw me near
i touch and stroke
till the dawn is here

you come and go
i fill the time
you raise a brow
i write a rhyme

why can't i smudge your neck
when you are sober and sane
oh please, what the heck
will you please come again?!

-------------------------------------
When sense
is an inconvenience!!

Wednesday, September 02, 2009

176. Mehmaan

bezubaan bhi nahin hamzubaan bhi nahin
guftagu kya karen tu yahaan bhi nahin

aake kuch yun gaya shaam kya sahar kya
ab to mere yahaan aasmaan bhi nahin

ho bhi to kya gumaan, kya karoon ab gila
tu beraham bhi nahin, meherbaan bhi nahin

tha kaarnaama kisi kaif-asar raat ka
karen guroor koi aisi daastaan bhi nahin

soch le ke har koi dilchasp lagta hai mujhe
ummeed hai tu aisa badgumaan bhi nahin

pichli dafaa tha kaha bas bula le mujhe
ab dikhake gaya tu kaa'iyaan bhi nahin

------------------------------------

kaif-asar = intoxicating
kaa'iyaan = miser
badgumaan = suspicious
hamzubaan = one who speaks the same language

sometimes the intended audience does not know Hindi (terrible!), so there! :D :D
-------------------------------------
It's incomplete but i don't want to think, yaa!!

Tuesday, September 01, 2009

175. The Poet

there,
he has done it
to me.

he has framed
my stillborn pauses
in lively silhouettes

the callused cobblestone streets
now sprout
insane anecdotes

the nights come donned
in crumpled sheaves of sleep;
and the days, once grey,
are now stained with hope

my months are no longer about
just changing faces on walls
my journeys no longer about
just counting stars

he stalks me around
and whispers unholy truth
unveiling colorful worlds
erasing my happy ending

i could shout bloody murder;
but how would that resurrect
my dead grey itinerary?

and even if i want to,
tell me-
how does one
hang an apparition
to death?