Monday, September 28, 2009

185. sabab-e-hayaat koi to de

sabab-e-hayaat koi to de


misaal-e-marg ke siwaay bhi

sabab-e-hayaat koi to de


tamaam karna hai kya

yeh bhi to pata nahin

baaqee rah gaya hai kya

yeh bhi to pata nahin


naa ibtedaa ka hai pataa

naa hai nazar me intehaa

yahaan wahaan kahaan kahaan

bas taqariib ki talaash hai


befaez-o-besabab se sab

is justajuu me koo-ba-koo

firaa karen giraa karen

jiyaa karen maraa karen


nabz nabz bas hisaab hai

lafz lafz bas naqaab hai

ehd-e-rasm to kiya nahin

sabab-e-hayaat koi to de


misaal-e-marg ke siwaay bhi

sabab-e-hayaat koi to de

---------------------------------

The Reason?!

1 comment:

Gomes said...

sabab dhoondoge, milega zaroor
milega toh rakhoge kahaan?
tumhari potli to baaton ke sebon aur khwahishon ki gutliyon se bhari padi hai. :P