Quit Caution - For the one who wants to tread where fools don't!! :) :) :)
-----------------------------
ehteyaat ab bahut ho chuka beraham
ab to kar de yahaan se wahaan parde
dareecha-e-nigaah kab se shaffaaf hai
kuch na aaye nazar sab dhuaan kar de
fiqr-e-furqat to fitrat me apni na thi
ab khalaon me apne nishaan bhar de
kitna masroof hai tu kitna mashghool hai
koi fursat meri thodi wahaan par de
hai giraftaar teri aahon me shab meri
kuch to kar, ab to inko rihaa kar de
dasht-e-falak pe sitaare tishnaakaam kyun
saraabon me mashroob-e-muskaan bhar de
sukhanwar bana hai ye kaayal tera
aake chuule ise bezubaan kar de
------------------------------------------------
Ehteyaat : Caution
Dareecha: Window
Shaffaaf: Transparent
Furqat: Separation
Khalaon; Vacuum, Space
Masroof, Mashghool : Busy, Occupied
Dasht: Desert
Falak: Sky
Tishnaakaam: Thirsty
Saraab : Mirage
Mashroob : Drink
Sukhan war: Poet
:)
The last line, though, is a rip-off from another piece of mine
No comments:
Post a Comment