kis kis-se iltajaa karen koi yun na kare
jab bhi sahar naya ho uska khoon na kare
kitne tabaah khaab-gaahon ka gawaah - waqt
khamosh sa guzre ye guftaguu na kare
khaamkhwaah sab nigaah ummeedwaar hain
ye zidd to hai fizool ka junoon, na kare
shamsheer-e-zubaan se ab koi kah bhi de
jaan leke koo-e-dil pursukoon na kare
taa-umr bas talaash-e-firdaus hi rahi
kahta koi ke aisi justajuu na kare
gustaakh tha naapak tha par ab subuk bhi hai
tauheen musalsal sabke roobaroo na kare
kabse giraft me taariiki liye hain Sadiq
nijaat-e-dard aakhir koi kyun na kare
1 comment:
Wonderful post... I really like the creativity in your post and it surely deserves an applause.
Post a Comment